Sita Mata Ka Itihaas – Janam, Vivah, Agni pariksha Or Antim Samadhi

Introduction

Sita Mata ramayan ka ek pavitra adyay hai jo hume prem,tyag or mariyada ka asli Arth samzhata hai janm se leker prithvi mai sama jane tak unka har kadam ek adarsha naari ke misaal hai.unka swayambar vanvaas k dard bhare din ravan dwara haran or ram ji saath unka milan har kisse apane aap mai ek shiksha hai .

Is blog mai hum sita mata k jeevan se jude pramukh kisse samzhenge jo hume humesha prerna dete hai too chaliye sita mata k pavitra jeevan yatra ka aarambh karte hai.

Sita Mata Ka Janam

Mata sita ka janam Mithila (Nepal ke Janakpur) mai hua tha. Raja Janak jab hal se bhoomi jot rahe the, tab unke hal ki nok ek kalash se takraayi jismein ek sundar kanya thi. Uska naam Sita rakha gaya. Isi se unka naam Sita pada — “Sīt” ka matlab hota hai hal ki nok.

Kuch log Bihar k Sitamarhi ko bhi unka janmasthal maante hain.

Sita Mata K Naam or Arth

Sita – Hal se prakat hone ke kaaran

Janaki – Janak ki beti

Vaidehi – Videh desh se hone ke kaaran

Mathili – Mithila ki rajkumari

Siya – Shant aur komal swabhav ki chhavi

Bhoomija/Bhoomiputri – Dharti se utpann hone ke kaaran

Mata-Pita Aur Shiksha

Mata Sita k pita Raja Janak aur mata Rani Sunayanat thi. Mata ne ghar par hi shiksha prapt ki, jismein unke guru the Gargi Vachaknavi, Yagyavalkya Rishi, aur Shatanand Rishi.

Sita Mata bahut buddhimaan, shant aur dharmik swabhav ki thi. Unhe Vedo ka gyaan tha.

Sita Navami

Vaishakh ke shukla paksha ki navami ko Sita Navami manayi jaati hai — isi din unka janam hua tha. isse Janaki Jayanti bhi kaha jaata hai

Sita Mata Ka Vivaah

Raja Janak ne swayamvar ka ayojan kiya. Shart thi — jo Bhagwan Shiv ke dhanush ko uthakar us par pratyancha chadha dega, wahi Sita se vivaah karega. Ram Ji ne dhanush uthakar tod diya, aur vivaah ka yog ban gaya.

Yeh vivaah ek adarsh sambandh ka prateek tha — jismein prem, maryada aur dharm tha.

Sita Mata Ke Priya Bhojan

Unhe makhane wali kheer, nariyal ke laddoo aur Seetabhog bahut pasand the.

Vanvaas Aur Ravan Se Haran

mata Sita ne Ram aur Laxman ke saath 14 saal ka vanvaas liya. Unka vastra kabhi maila nahi hua — kyunki Anusuya Mata ne unhe ek divya saari di thi.

Ravan ne Sita ka haran kiya Ashok Vatika mein rakha, jahan unhone kabhi bhi Ravan ki baat nahi maani.

Laxman Aur Sita mata Ka Rishta

Mata ne Laxman ko hamesha beta jaisa samjha. Laxman ne bhi Sita ke charan hi dekhe, aur kabhi unka mukh tak nahi dekha. Unke beech ka rishta maryada aur samman se bhara tha.

Sita Mata Aur Hanuman Ji

Hanuman Ji ne Lanka jaakar mata ko Ram ji ka sandesh diya. Sita Mata ne unhe maa ka pyaar diya aur amar hone ka varadan diya , ashta siddhi aur nav nidhi bhi di.

Trijata Aur Sita Mata

Trijata ek raksasi thi par bhakt thi. Usne Sita maya ki raksha ki, aur Sita Mata unhe maa jaisa pyaar karti thi. Trijata ki bhakti Ram ke prati thi.

Sita Mata Ke Aayodhya Vapsi

Ravan ke vadh ke baad Mata Pushpak Vimaan se Aayodhya aayi. Logon ne unka bhavya swagat kiya. Ram ka rajyabhishek hua.

Sita Mata ka jeevan: Vanvaas or tyag

Aayodhya ki praja ne mata Sita ke charitra par sandeh kiya, jiske baad Ram ne unhe tyag diya. Sita ne Valmiki Ashram mein sharan li aur Lav-Kush ko janm diya.

Sita Mata ne apne bachchon ko bina Ram ke sahare pala. Unhone Lav-Kush ko dharm, veerta aur maryada sikhayi. Apne jeevan ke antim avdhi tak unhone sangharsh kiya, par kabhi apne charitra ya dharm ko nahi chhoda.

Patal Mein Sama Jana

Jab Ram ne unki agni pariksha dobara mangi, tab Sita ne prithvi se vinti ki aur dharti Maa unhe apne andar le gayi. Isi ke saath unka lok se viram ho gaya.

Sita Mata Ke Shraap Aur Vardaan

Sita Mata ne kuch ko vardaan diye aur kuch ko shaap. Neeche unka ullekh hai:

Falgu nadi – Sada sukhi rahegi

Gaay – Sirf pichhle hisse ki pooja

Kauwa – Apne khaane mein kabhi akela nahi hoga

Ayodhya log – Sada udaas aur virakt rahenge

Tulsi – Gaya mein nahi ugti

Vardaan diya gaya

Vatvriksha – Hamesha lambi aayu aur sabko chhaya dega

Rakshas Vadh kiya Sita Mata Ne

Mata ne Moolkasur ka vadh kiya — jo Kumbhkaran ka putra tha. Unhone apna Shakti Roop dharan karke is kaam ko pura kiya

Conclusion

Mata ke kahani ek misaal hai — ek stri kis tarah se tyag, sahansheelta, aur dharm ka palan karti hai, ye unse behtar koi nahi samjha sakta. Unhone bina kisi shikayat ke, jeevan ke har morh par maryada ka paalan kiya. Aaj bhi unka jeevan humein yeh sikhata hai ki sachcha bal to andar se hota hai-

sahan karne ka, maaf karne ka, aur dharm par chalne ka.

Agar aapko yeh blog pasand aaya ho, toh zaroor comment karein aur apne doston ke saath share karein.https://mantrasadhna.com/mata-parvati-life-stories/

Share it :

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Latest Post